Shehre nabi teri galiyo ka

Shehre nabi teri galiyo ka nakhsha hi kuch aisa hai,
Khuld bhi hai mustaq ziyarat jalwa hi kuch aisa hai.

Dil ko sukun de aankh ko thandak rouza hi kuch aisa hai,
Farshe zami par arshe bari ho lagta hi kuch aisa hai.

Unke dar par aisa jhuka dil uthne ka ab hosh nahi,
Ahle shariyat hai sakte me sajda hi kuch aisa hai.

Sibte nabi hai pushte nabi par aur sajde ki haalat hai,
AAQA ne tasbih bhadhaii Beta hi kuch aisa hai.

RAB ke siwa dekha na kisine farshi ho ya arshi ho,
Unke haqiqat ke chehre par parda hi kuch aisa hai.

Taaj ko apne qaasa banaa kar haazir hai shaahan e jaha,
Unki ata hi kuch aisi hai sadqa hi kuch aisa hai.

Kham hai yaha jhamshid o sikandar is me kya hairani hai
Unke gulaamo ka ai Akhtar rutba hi kuch aisa hai.

13 thoughts on “Shehre nabi teri galiyo ka

    1. The writer you are referring to is my peer; Mujaddide Zaman, Mufasir-E-Quran Shaikh-ul-Islam Sayed Muhammed Madani Miyan Ashrafi Al Jeelani Kichochvi

      Like

      1. Salam, are you able to post some more naat shareef lyrics written by shaykul Islam, please

        Like

  1. Arsh e Moa’lla sir pe uthaye
    Tair e Sidra Aankh lagaye
    Patthar bhi kismat chamkaye
    Talva hi kuch aisa he…

    Like

  2. subhan Allah .ya khoda huzur madini miya be akhtar aur huzur tajushariah be akhtar 2 no akhtar salamt rahe ameen

    Like

Leave a reply to FAIZAN MADNI Cancel reply